Monday, January 3, 2011

Wasi Shah

Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi

Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi

Ajab Hijer Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi

Qayam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi

Tamam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhe Talash Karti Thi

...................................................................................................

Tumhain Janan Ijazat Hai K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko

Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena

Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna

Tumhein Is Ki Ijazat Hai

Mere Sab Khat Jala Dena Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna Or Mita Dena

Tumhain Bilkul Ijazat hai

K Jab Chaho Bhula Dena Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan To Acha Hai Na............

...................................................................................................

Aj Hamain Ye Bat Samjh Ayee Hai
Tum Musam Ho Or Musam Har'jaee Hai

Tu Ne Kaisay Morr Par Choor Diya Hai Hum Ko
Dil Ki Bat Cho'paoon To Ros'wayee Hai

Tere Bad Bacha Hee Kya Hai Jeewan Main
Main Hon Beeghi Sham Hai Or Tanhayee Hai

Aj Mere Ankhoon Main Sawaan Utray Ga
Aj Bohut Din Bad Teri Yaad Ayee Hai

Aj Ki Raat Bohut Bhari Hai Donoo Par
Aj Mujhai Wo Khaat Loo'tanay Ayee Ayee Hai
Janay Main Kya Soch K Chup Hon Gum'Sum Hon
Janay Wo Kya Soch K Wapas Ayee Hai

...................................................................................................


No comments:

Post a Comment