Monday, January 3, 2011

Wasi Shah

Wasi hum ne pyar kia tha
Ulfat ka iqrar kia tha

Amjad rung ik geet likha tha
usko apna meet likha tha

Neher kinarey, peepal chaon
Un sey yeh izhar kia tha

Jana bosa lene do
dast-e-hina chu lene do

Talab na paiee, mausam badla
nadi kinara, gum sum pani
hum se aaj yeh kehta hai

Wasi kuoon-kar pyar kia tha
kyoun is ka iqrar kia tha

................................................................................................

apni khatir jagge ho soye ho

apni khatir hanse ho roye ho

kis liye aaj khoye khoye ho

tum ne aansu bahut piye apne

tum boht saal reh liye apne

ab mere sirf mere ho kar raho

husan hi husan ho zahaanat ho

ishq hoon main to tum mohabbat ho

tum meri bas meri amaanat ho

ji liye jis qadar jiye apne

tum boht saal reh liye apne

ab mere sirf mere ho kar raho...!

................................................................................................

Jab bhi wo shaks wasi mujh se khafa ho jaye
ik sunami mere seene main bapa ho jaye

dil main phir kuch nahi ho ga khalaon k siwa
tu kisi roz agar ujh se juda ho jaye

wo bhut rakhta hai chahat ki tamazan ka hisaab
wo to ik sajda na bakshe to qaza ho jaye


thapkian de k sulati hai teri yaad hamein
neend jis raat bhi aankhon se khafa ho jaye

ye taqaza hai mohabbat ki ibadat ka wasiii
us ko choo lene se ik rukn ada ho jaye

................................................................................................

Aankhon se meri is liye  laali nahi jati
yaadon se koi raat jo khali nahi jati

ab umr na  mosam na wo rastay k wo palty
is dil ki magar khaam khyali nahi jati

maange tu agar jaan bhi to hans kar tujhe de dein
teri to koi baat bhi taali nahi jati

maaloom hamein bhi hain bhut se tere kisse
per baat teri hum se uchaali nahi jati

hamrah tere phool  kilhati thi jo dil main
ab shaam wahi dard se khali nahi jati

hum jaan se jaeinge tabhi baat bane gi
tum se to koi raah nikaali nahi jaati

................................................................................................

kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay
har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
Wasi" yaqeen hay mujh ko woh lout aye ga
usay bhi apne kiye ka malal hona hay


................................................................................................

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay
har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay
humari rooh pe jaab bhi azaab utrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main

................................................................................................

Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se Uss Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi

Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi

Mujhe To Aaj Bataya Hai Badlon Ne ''Wasi"
Wo Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi


 

No comments:

Post a Comment