Monday, January 3, 2011

Mohsin Naqvi – The Great Poet’s Collection

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai

Qatl kabhi chuptay thay sang kee deevaar ke beech
ab tou khulnay lagay maqtal bharay bazaar ke beech
==
Mein nay iss torr say chaha tujhy aksar jana
Jesay mahtab ko bay-ant sumandar chahay

Jesay soraj ki kiran seep k dil mein utray
Jesay khushbo ko hawa rang say hatt kar chahay
==
Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech
==
Iltimas-e-Dua From All of You with another great ghazal of Mohsin

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA

MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA

TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA

MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA

MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA

MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA
=

No comments:

Post a Comment